मोम नहीं हूँ जो पिघल जाऊं मैं/ mom nahi hoon jo pighal jaoon main

मोम नहीं हूँ जो पिघल जाऊं मैं
ग़म-ए-ज़िन्दगी से और निखर जाऊं मैं

mom nahi hoon jo pighal jaoon main
gam-e-zindagi se aur nikhar jaoon main

तमाम रात कुछ इस तरह बिताऊँ अब
तुझ में खिलूँ तुझी में बिखर जाऊं मैं

tamaam raat kuch is tarah bitaoon ab
tujh mein khiloon tujhi mein bikhar jaoon main

मेरी मंज़िलें तेरे क़दमों के साथ चलती हैं
जहाँ रुके तू, वहीँ घर बनाऊं मैं

meri manzilein tere kadmon ke sath chalti hain
jahaan ruke tu, wahin ghar banaoon main

न मस्जिद, न शिवाला, न प्याला मय का
उन आँखों में डूबूं और उबर जाऊं मैं

na masjid, na shivala, na pyala mai ka
un aankhon mein doboon aur ubar jaoon main

कई सदियाँ गुज़ारी हैं तेरे इंतज़ार में
तू जो आ जाये तो संवर जाऊं मैं

kayi sadiyaan guzaari hain tere intezaar mein
tu jo aa jaye to sanwar jaoon main

मेरी खुदी ने मुझे जानने न दिया
तू मेरा अक्स है, तुझी में नज़र आऊँ मैं

meri khudi ne mujhe jaan-ne na diya
tu mera aks hai, tujhi mein nazar aaoon main

24 Comments

24 Responses to "मोम नहीं हूँ जो पिघल जाऊं मैं/ mom nahi hoon jo pighal jaoon main"