aaj aur kal (the forehead kiss)

aaj,
neend nahi ayegi raat bhar
baar-baar uth ke ghadi dekhoonga
sirf kuch der ke liye hi sahi
waqt ko bolunga
ke jaldi chale thoda

uth jaunga subah ke uthne se pehle
aur niklunga ghar se
pehli kiran ke saath

kal bus mein bhi kuch nahi padh paoonga main
aur haath kaapenge mere
metro ka token lete huye

thamengi dhadkanein phir se
tere milne ka waqt najdeek pa kar

kal, phir se sajana hai tere mathe ko
pyaar ki nishaani se

aaj, neend nahi ayegi raat bhar
kyonki kal milna hai mujhe tujhse

its her third exam tomorrow…

5 Comments

5 Responses to "aaj aur kal (the forehead kiss)"