aks / mirror

bus kuch hi din toh huye jab
dekha tha us aadmi ko
nayi dilli station ke bahar ki
bheed-bhari sadak par akele khade huye

raat mein bhi kaala chashma pehne
haath mein chadi liye
pata nahi
kahan jana tha use
pata nahi
kiska kar raha tha woh intezar

apni akhiri metro pakadne ki daud mein
maine sirf itna jaana
ki theek uske jaisa
maine bhi paya hai khud ko
kai baar

attempted translation, in the comments section

10 Comments

10 Responses to "aks / mirror"