and sahir says…

tumhare gum ke siva aur bhi to gum hain mujhe
najaat jinse main ek lamha pa nahi sakta

ye oonche-oonche makano ki dyodhiyon ke tale
har ek gaam pe bhooke bhikariyon ki sada
har ek ghar mein ye iflas aur bhook ka shor
har ek samt ye insaniyat ki aaho-buka
ye karkhano mein lohe ka shoro-gul jismein
hai dafn lakhon garibon ke rooh ka nagma

ye shahrahon pe rangeen sadiyo ki jhalak
ye jhopdon mein gareebon ke bekafan lashein
ye maal rod pe kaaron ki rel-pel ka shor
ye patriyon pe garibon ki jard-ru bacche

gali-gali mein bikte huye ye jawaan chehre
haseen ankhon mein afsurdagi-si chayi huyi
ye jung aur ye mere watan ke shokh jawaan
kharidi jati hai uthti jawaniyaan jinki
ye baat-baat pe kanuno-jabte ki giraft
ye jillatein, ye ghulami, ye daure-majboori
ye gum bohat hain meri zindagi mitane ko
udaas rehke mere dil ko aur ranj na do

3 Comments

3 Responses to "and sahir says…"