baatein

raat ki nazar bacha
chupke se
wo aa jata hai chhat pe
darta hua sitaron se
kahin shikayat na kar dein uski
kabhi tehalta hua
kabhi tanki ke paas khada hua
woh bolta hai dheere se
ke koi sun na le use

aajkal,
office se ghar laut-te samay
baatein karta hoon bohat
apne chand se main
aajkal ghar aa jata hoon kab
pata nahi chalta mujhe
4 Comments

4 Responses to "baatein"