janmdin mubarak ho pyaar

wo hansi, to uske saath, kamre ki har ek cheej, farsh, deewarein, khidkiyaan, darwaje…chalta hua cooler, jalti huyi light, kamre se bahar ki balcony, balcony mein se dikhte ped, pedon ki jadein, jadon se lipti jameen aur jameen ke agosh ko bechain aasmaan…aasmaan mein bikhre badal aur badlon ke peeche se jhankta sooraj, sooraj ki chautarfa faili roshni aur roshni ki beti chaaya, sab hans pade…muskura pade mere sath.
is bade se shehar ke kisi chhote se ghar mein baithi ek ladki ki hansi ne poori kaynaat ko roshan kar diya hai, zindagi mein rang bhar diya hai meri.
kaise na karoon pyaar, uski is hansi se main…

4 Comments

4 Responses to "janmdin mubarak ho pyaar"