kaise raha main itne baras

aaj jab kabhi
dekhta hoon tera chehra saamne aaine mein
jab ponchta hoon tere aansoo
lagata hoon gale tujhe
dur baithe huye, shehar ke ek kone se

aaj jab kabhi
karta hoon tujhse baatein
jo kabhi kisi se na ki
jab mehsoos karta hoon tera naam
apni jubaan se umadte huye

aaj jab kabhi sunta hoon, samajhta hoon,
gata hoon, gungunata hoon
tujhe, teri har saans, tere har ehsaas ko
tab sochta hoon kabhi main
kaise raha main itne baras, tere bin?

4 Comments

4 Responses to "kaise raha main itne baras"