kavita / poetry

kavita
jaroori nahi ki likhi hi jaye
ya padhi jaye, kitabon mein
kavi sammelanon mein

maine dekha hai kavita ko hanste huye
may ki bhari dupehri mein
concrete ki deewar par
bougainvillea ka phool ban kar

maine dekha hai kavita ko khilte huye
ek sote huye bacche
ke chehre par
masoom si muskan ban kar

maine dekha hai kavita ko jeevant
uski umr, sadhe teis saal hai
aur kad, paanch foot dhai inch
aur apne naam ki hi tarah
usne mere jeevan ko roshan kiya hai

kavita
jaroori toh nahi na
ki likhi hi jaye?

ЁЯЩВ

poetry
need not be written
or read only in books
and poetry meets

i’ve seen poetry laughing
becoming a bougainvillea flower
climbing on a concrete wall
in a hot afternoon of may

i’ve seen poetry flowering
spreading as an innocent smile
on the face of a
sleeping child

i’ve seen poetry alive
she is twenty three years of age
and her height is five feet, two and a half inch
and like her name
she has illuminated my life, for life

poetry
need not be
written only na?

23 Comments

23 Responses to "kavita / poetry"