kohinoor

kaale chamde mein bandha
aur steel ke khol mein dhadakta
jana-pehchana sa ye ajnabi
tang karta hai kabhi

yaad dilata hai baar-baar
ke kitni kam hai mohlat
tujhe paane ki mere paas

abhi kuch hi din pehle
bandha hai waqt apni kalai par dobara
barson baad
ab dhadka hai ye seene mein mere

jo tu aa jaye
to tank doon ise tere chokar par
ye kohinoor mera,
tera hi to hai ab

it was a promise in fulfillment, before the secret desire took shape.
amen.
you’ll get the context here. and the translation will be in the comments section, soon.
9 Comments

9 Responses to "kohinoor"