maa/mother

aaj jab
dekhta hoon main
apne aas paas ki duniya ko
badhte huye aage, kisi bhi keemat par
jab paata hoon main
rishte toot-te huye
saathi chhoot-te huye
darr lagta hai mujhe bohat
ghabra jata hoon main
kyonki
dheere-dheere
mujhe bhi seekhna hoga
chehre par chehre lagana
aage badhte jaane ke liye
sab kuch peeche chhodte jaana
dheere-dheere
main bhi ban jaoonga
thoda aur sayana
tab tak
bas kuch aur samay
apne anchal ki chaanv
mujh se na hatana, maa

attempted translation in the comments section
12 Comments

12 Responses to "maa/mother"