majdoor ka beta

majdoor ka beta
khelta hai mitti se
chalta hai agni par
swapn dekhta hai vayu sam
jal bharta hai ankhon mein
aur jeeta hai aakash jaisa anant jeevan

a.c. mein pale badhe
gadiyon mein chale
‘sahab’ ke bete ka
aisa bhagya kahan

ho na ho
bhagwan bhi
kisi majdoor ka beta hai
paanch tatvon ke
apne in khilono se
usi ne gadha hoga, mujh angadh ko

hope my twin translates this for me!

6 Comments

6 Responses to "majdoor ka beta"