sawaal

aankhein band karo apni, abhi
aur mehsoos karo
ke ghul rahe hain ve sahare
jin ke bharose baithe ho tum
ya mit raha hai woh farsh
jahan khade ho tum is waqt
hawa ho rahe hain, manjilon oonche
ve saare bhram
jo alag karte hain
tumhein mujhse

aa jao ab tum
thos satah par meri
chuo
jaano
bhar lo aagosh mein
mere har ehsaas ko
suno
ke dhadak rahi hain ragein meri
ke har hissa
suna raha hai kahaniyan hazar
choti ho ya badi
achi ya buri
sunti, sehti
dekhti, kehti
rachti rahi hoon main
ye kahaniyan sadiyon se
jab se janm liya hai
jindagi ke maksad ne

jaano
ke zinda hoon main
aur pooch rahi hoon tumse
kaun si kahani kal
chodoge tum mere liye
21 Comments

21 Responses to "sawaal"