snow

maine barf dekhi hai to sirf
rupehle parde par girte huye
ya kitaabon, akhbaron ke
bejan pannon par
barf ko kabhi chua nahi maine
kabhi pighli nahi woh mere hathon mein
haan itna padha hai jaroor
ke barf ke koi bhi do kan
ek se nahi hote
abr se girte hain
aur sama jate hain
zameen ki gard mein
maine barf ko dekha hai sirf
par kabhi jana nahi
kuch lamhon ke khel ki
is sard zindagi mein
kahin main aur tum
barf ke ye tukde to nahi
16 Comments

16 Responses to "snow"