
din ka pehla khayal ban kar
woh behta hai ragon mein
aur rehta hai dhadkano ki aas ban kar
woh dikhta hai chadar ki salvatein sudharta hua
woh sunta hai tumhein ma ko pukarta hua
woh peeta hai chai ki pehli ghoont tumhare saath
aur rakhta hai pehla kadam, tumhare hi saath
woh baitha hota hai jahan tum baithe hote ho us waqt
aur rehta hai sath zindagi ke vyapar mein
woh dikhta hai anjaan chehron mein tumhein
aur apni si tanhai-lachar mein
woh likhta hai kagaj par lai-no ko kheech
woh rehta hai office ke logon ke beech
woh thap-thapata hai peeth har mili acchai mein
aur lagata hai gale, rah ki har kathinai mein
woh behta hai charon taraf hawa ban kar
khilta hai dil ki dua ban kar
woh saans leta hai tumhari har saans ke sath
aur
jab raat khloti hai apna jadu ka pitara
woh sajta hai palkon par chandi ke khwab ban kar
jise tum pyar karte ho bohat
dur wo tumse kabhi hota nahi
8 Responses to "there’s no such place as far away"