twenty four

ek chota sa din
aur chaubees tukde
aapas mein jude-jude
aur kuch bikhre-bikhre

kabhi pooja ki mala ke
mankon ke jaise
kabhi nadi ke kinare ke
kankadon ke jaise

kabhi bachpan ke khelon ke
kanchon ke jaise
kabhi sapno ke gehno ke
heeron ke jaise

japta hoon
khelta hoon
phenkta hoon
sahejta hoon

ek chote se din ke
in chaubees tukdon ko
chunta hoon ek-ek kar
phir bhi,

kitne kam padte hain ye
teri yaad ke liye
jab tu aa jayegi
to gin-ne nahi padenge ye mujhe

9 Comments

9 Responses to "twenty four"