
bohat der se darwaaje par lagi thi’n
phir seedhiyan taap kar
koodti-faandti
society ke gate par pahunchi
phir seedhiyan taap kar
koodti-faandti
society ke gate par pahunchi
wahan intezaar kiya kuch der
aur sadak paar kar
main road par
jo bus stand hai
wahan se hote huye
bus mein safar kiya
aur shehar ke us paar bhi pahunch gayi’n
jahan se tu chal di hai ab
aur shehar ke us paar bhi pahunch gayi’n
jahan se tu chal di hai ab
lagta hai
in ankhon ka ek apna hi wajood hai
mujhe yahin baitha chhod
ho aati hain har us jagah
jahan ke lagta hai
tu hai is waqt
the wait,
for dee, as it used to happen at my hagrid’s house
its another thing, that she didnt let it happen the last time ЁЯЩВ
4 Responses to "wajood"