hisaab

raat ke ek aise waqt
jab bus mein, conductor
nikal lete hain apni copiyan
karne jama, ghata aur bata

jab bajaar mein
aadhe shutter giri dukanon ke andar
lagaya jata hai
aamdani-kharch ka milan

main shirt ke cuff aur collar par
din bhar ki gard liye
ghar laut-ta hoon jab,
raat ke aise ek waqt
poochta hoon khud se
kya raha mere din bhar ka hisaab?

4 Comments

4 Responses to "hisaab"