गर्मियाँ गरीबों की / garmiyaan gareebon ki

गर्मियाँ ग़रीबों की
सर्दियाँ अमीरों की

garmiyaan gareebon ki
sardiyaan ameeron ki

तख़्त बादशाहों का
दुनिया फ़कीरों की

takht badshahon ka
duniya fakeeron ki

दुखों के समंदर में
ख़ुशी ज़जीरों की

dukhon ke samandar mein
khushi zazeeron ki

मौत उड़े पंख लगाये
ज़िन्दगी जंज़ीरों की

maut ude pankh lagaye
zindagi zanzeeron ki

दास्तान-ए-इश्क है
शबनमी तहरीरों की

daastan-e-ishq hai
shabnami tehreeron ki

झलक (उस) काफ़िर की
दुआ (हम) असीरों की

jhalak (us) kaafir ki
dua (hum) aseeron ki

ग़ज़ल मज़लूम नहीं
(है) बगावत लकीरों की

gazal mazloom nahi
(hai) bagavat lakeeron ki

जीत मेहनत की
हार तकदीरों की

jeet mehnat ki
haar taqdeeron ki

 

zazeeron: islands; zanzeeron: chains; tehreer: script; aseer: prisoners

30 Comments

30 Responses to "गर्मियाँ गरीबों की / garmiyaan gareebon ki"